Sad Poetry | Aaj Arse Baad fir Mila tha Tujhse | Part 1 | By Nawaz

- Advertisement -

Aaj Arse Baad fir Mila tha tujhse

Aaj Arse baad fir dekha tha khud ko

 

Tera Aks Sath Chodta nhi Ya 

Ya fir khud ko Mita Paya nhi

 

Okhla Delhi ka woh hissa Jahan 

Har dusri ladki naqab me hoti hai

 

Eid ki kharidari karni thi mujhko

Yahan aata Hoon to Tere bahut karib rehta 

Hoon sayad

 

Kuch kurtiyan leni thi khud k liye

Pehanta to nhi par haan eid pe pehanta Hoon

 

Pata h aaj v Eid ki pahli photo share karta Hoon Tere naam se

 

To sun le waqya ke hua kuch yun ,

 

Kharidhari k baad ja k ek auto liya wapas Ghar ko

To ek Mohtarma aayi thik Tere jaisi hi

 

Hijab pehni Hui thi, bgal me aake baithi 

Yaad h woh Tere samne aate hi Mera nervous Hona

 

Kuch nhi badla ab Tak

 

Aaj Arse Baad fir Mila tha tujhse

Aaj Arse baad fir dekha tha khud ko

 

Uske hizab ka ek Kona mere hath se lag reha tha

 

Thik Tere hijab. Jaise chote chote motiyan bs kinare pe

Woh Motiyon ke takrane ki aawaz ka saaf sunaai dena

 

ke tu ab tak jinda hai mujh me ye ehsaas hona

Ek arse baad Tere jaisa koi dikha Tere manind

 

Ye mera safar unhi purane raston se hi  q gujarta hai Jahan tujh se

Judi wo har say hai Jise yaad nhi karna chahta…..

 

Nehru place yaad h tujhe Jahan main apna waqt gujarta tha

Woh masgul hona mera Gagan aur Shilpa ki Toli me

 

Aur Tere woh hazaron calls

Woh jagah aaj v waisi hi Hain 

 

Jab v idhar se gujarta hoon un calls ki ahmiyat ab samajh aata hai hmko

Ab khud ko tarpata hoon trap ke us mukaam tak

Jahan Maut khud panah mangti hai Mere dard se

 

Woh developer yaad h kya tumko Ritesh, kabhi kabhi

 

Usse baat hoti h aksarhan puchta h tumhare Bare me

Main kehta Hoon thik hai tumhare naam se bnayi

woh Skype ki I’d ab Tak use karta Hoon main

 

Dekh na ek okhla Kya gya hzaro baatein nikal Aayi

 

Aisa lagta hai jaise akhiri waqt ho Chala ho Mera

Ab ja reha Hoon yahan se bhi hamesa k liye

 

Ab lautoonga nhi in wadiyon me

Jahan Teri parchaiyaan satati hai bahut mujhko

Delhi Meri Delli Kaha karta tah Sala ye v tera hi hai

 

Suno tumhari awaz Sunni thi hmko ek akhiri baar

Call Kar sake to Kar Lena ……2

 

Aaj Arse Baad fir Mila tha tujhse

Aaj Arse baad fir dekha tha khud ko

 

helpless minority You May Also Like 

Aizza college of Engineering and Technology

Memory of Aizza College Of Engineering & Technology 2008-2012

Aizza College Of Engineering & Technology 2008-2012 Bihari (531), MD sarfraz Nawaz - Kuch Yaadein kuch Baatein After 9 Year ...
Read More
helpless minority

Paigame Muhabbat – Written By Nwaz

Paigame Muhabbat Ab koi nhi samajh pata is gum ko Ab ye gum chupa hi rahe duniya se to acha ...
Read More
missing you

तेरी जिंदगी से बहुत दूर चले जाना है

Sad Poetry तेरी जिंदगी से बहुत दूर चले जाना है फिर न लौट कर इस दुनिया में आना है, बस ...
Read More
delhi 6 nawaz poetry

Delhi 6 Aur Woh Metro Gate No 3 | Sad Poetry | Nawaz Poetry

Delli 6 Aur woh metro gate no 3 Waqt rehta nhi kahin tik kar Iski aadat v hai aadmi ki ...
Read More
john elia mushaira

John Elia Mushaira | John Elia Shayari 2020

John Elia Mushaira jo guzārī na jā sakī ham se ham ne vo zindagī guzārī hai ----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- maiñ bhī bahut ...
Read More
sad poetry

Sad Poetry | Aaj Arse Baad fir Mila tha Tujhse | Part 1 | By Nawaz

Aaj Arse Baad fir Mila tha tujhse Aaj Arse baad fir dekha tha khud ko Tera Aks Sath Chodta nhi ...
Read More
Mana Ke hm yaar Nahi

Mana Ke hm yaar Nahi || Old Memory || Purani Yaadein || My Office Life…..

https://www.youtube.com/watch?v=xTgU_v0kAXE माना के हम यार नहीं लो तय है के प्यार नहीं माना के हम यार नहीं लो तय है ...
Read More
Sad Poetry

K Sun K Main khamosh ho chuka hoon | Nawaz Poetry

K sun k main khamosh ho chuka hoon Ke tu sun ab main khamosh ho gya hoon Chup chap tanha ...
Read More

- Advertisement -
Mr Nawaz
Helpless Minority Nonprofit News is only possible with consistent support from the community we proudly serve. Your sustaining contribution of $10 per month (or more) makes you a member, and gets you our print edition.

Latest news

- Advertisement -
- Advertisement -
- Advertisement -

Related news

- Advertisement -

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here