K sun k main khamosh ho chuka hoon
Ke tu sun ab main khamosh ho gya hoon
Chup chap tanha sa ye karwan chala ja reha hai
Manjil hai na koi hamrahi na koi ummid na koi khawahish
Bs intajar to us maut ka jo Khuda ne muqarrarrr ki hai
Haan ye such h ke khud ko maar chuka hoon mukammal kB ka
Trpa reha hoon khud ko trap ke us Mukaam tak
Jahan khud maut jindagi se pnah mange
Ke sun ab khamosh ho chuka hoon
Haar chuka hoon waqt Aur apno ke bnaye is jhute khokhle rishton k bandhan se
Ke sun ab Azaad kar chuka hoon khud ko un har wadon se jo kbhi khud se kiye the jo kuch tujhse kiye the
Ke sun ab main khamosh ho chuka hoon
Haan par in sab se pare ek such Aur hai ki bejaan ho chuki is dil ko ummid tere aane ka aaj v hai
K tu aayega Aur apna hath rakh k ise dubara rooh bakhshegaaa
Kambakht ise kaise samjhoon ki mare hue wapas nhi aate
Ajib dil hai marne k baad BHI khwahishon ka samndar rakhta hai
Ab kaise samjhaoon woh to khud pahle hi murda dil the Nawaz woh bejaan Kahan sunegi
Kabhi kabhi sochta hoon khamoshi ka alam ye hai to na janeeee
Ab samajh aata hai mujhe q khamosh ho jate hai kuch log -2
Dua karta hoon ki mere andar ki chillahat chikhti traptiii rooh ko maut hi aa jaye……
To behatar to behtar
K sun ab main khamosh ho gya hoon
Aaj BHI sham k dhalte hi teri badi gandi yaad aati hai
Woh kho chuke har lamhe aisa lagta h jaise Kal ki baat ho
Sans rukne lagti hai Aankhein bharne lagti hai
Tu najar to nhi aati par mehsus tere hone ka ab BHI hota hai is dil ko
Kho gye woh sare Sapne na jo tere sath dekhe the
Ab to dam tod chuki un khabon ki chikhti chillati woh aahein hi reh gyi hai
Jo har raat in kano ko jhelna hota hai
Ye jism bhi ab sath chod reha hai kabhi milo to btaye tumhe
Kal agr na reha to mere ye likhi hui kuch baatein padh liya karna
Main hamesa jinda hoon tumme jab ye ghatiya poetry aana band ho jaye
To samajh Lena ki ab na reha Nawaz
Haar chuka hoon khud se ab koi ummid nhi na tujhse na khud se
Ye band Kamre ki sunsan sannaton me dubta ja reha hoon
Kho chuka hoon sayad ya Khone wala hi hoon khud ko puri treh
Woh office se Ghar ka aana Aur un Lamhon me tere woh 100 missed call
Sab kya bemaine the
Unhe sochta hoon aur har roz khud ko maut ke hwale v karta hoon
Par saans hai jo jo kambakht ruktiii hi nhi
Tu kaise bdal gya kaise kho gya us duniyon me jahan mera koi wajood nhi 2
Chalo Achcha hi hai kahin BHI hai khus reh bskahin bhi hai khus reh bs
K sun mere khamoshi ka aalam ye hai to chillane ka kya hoga……
k sun main khamosh ho gya hoon….2
Is bhari duniya me fursat kise hai nwaz kisi ke chehre ko pal bhar dekhne ka
Aur tu to gum ka samandar rakhta hai woh v dil ke andar
Aur ummid rakhta hai is duniya se ki koi
Q nawaz
Aksarhan log puchte hain tumhari aankhein red q hoti hai
Weak ho gya hai ab unse kaise kahoo kiska naam loon ab tu bta
Subah office jate waqt metro ke gate k paas khade hokar
Chalti metro se bahar na jane kya dekhta rehta hoon
Sayad khud ko talash karta hoon khud ko khud se bahar
Q k mere andar main nhi hoon
Arsa bit jata hai apno se mile hue
Woh puchte h jab kabhi milte hai ki kya hua sab khairiyat to h
Main hanste hue kehta hoon thoda masroof rehne laga hoon
Woh kehte hain mila karo hm v kehte hain haan aur chal deta hoon aage
Khuda Hafiz